FAQ - Ping Up
Ping up

Frequently Asked Questions

I want to read this in English.

Ping up aik app hai jis pe koi bhi insaan apne future goals ke liye sarmayakari kar sakta hai. Uss ke saath saath, hum apne users ko sikhaate hain ke ihteaat aur hifaazat se vo apni savings ko kaise barha sakte hain.

Hamari team ke finance experts aap aur aapke goals ke baare mein seekte hain aur phir aik plan banate hain jis ko follow kar ke aap un goals tak pauhanch payein.

Fund providers aur asset management companies (misaal ke taur pe Alfalah GHP) Ping Up ko paise dete hain taake hum unki funds aap sab ko offer karein. Hum apne users se koi paise nahi lete.

Sab se bari waja: aasani. Ping Up ke saath sarmayakari karna intihaii asaan hai kyun ke hum first-time investors ko bhi apne simple, saaf se journey mein guide karte rehte hain taake vo asaani se invest karein aur apni skills aur knowledge behtar karte rahen. Ghanton bhar research karne ke bajaye mehnat hum pe chorho, goals batao, aur hum un ko aap ke paas layein ge.

Aap jab chaahe apne paise nikaal sakte hain. Jis pot se nikaalne hain, us ko select kar ke pot profile ki screen ke bilkul neeche aap ko ‘withdrawal’ (paise nikaalne) ki option miley gi. Jitne paise nikaalne hain wou nikaal lijiye, aur wou waapis aapke account mein teen chaar din ke andar andar pauhanch jayein ge.

Ping Up ke saath aap mutual funds mein invest kar sakte hain. In mein aap jaise kayi logon ki investments ikhattey hoti hain, aur phir vo pura fund aik portfolio manager invest karta hai taake aap ke returns barh jayein.

Abhi ke liye hum Pakistani mutual funds (Shariah-compliant aur conventional donon) offer karein ge leikin waqt ke saath hum aur bhi products launch karna chah rahe hain.

Ping Up Pakistan mein shuru hua tha, aur Islami mulk mein shuru karne ki waja se humare liye Shariah-law ki izzat karna bohat ahem tha. Onboarding mein hi hum aap ki preferences check karte hain aur jo log Shariah-compliant funds mein invest karna chahein, un ke liye woh option hamesha shaamil ho gi.

Aap asset management companies ko aik choti fee dein ge jo woh apne fund chalane ke kharchon ke liye maangte hain. Yeh fee khud ba khud aap ke pots se li jaaye gi. 

Aap Ping Up ko koi fees nahi dete!

Aap ki hifazat hamare liye bohat important hai. Hum aap ke bank account ko kabhi access nahi karte aur aap ka data sab encrypted hai.

Uss ke ilawa, Pakistan ke Securities and Exchange Commission (SECP) mulk ke sab mutual funds providers ko regulate karte hain, aur un ka kaam hi ye hai ke vo aap jaise investors ki hifazat check karein. SECP ke saath Pakistan ki Mutual Funds Association (MUFAP) bhi kuch rules set karti hai jin se trade aur sarmayakari kabhi ghalat tareekon se na ho.

Bilkul bhi nahi. Na hum koi paise rakhte hain na rakhna chahte hain. Ping Up hum ne iss liye banaya tha kyunke hum chah rahe the ke banks ke jo masle hote hain vo hum kam karein. Ping Up ke saath sarmayakari becomes simple and safe.

Humare paas SECP se diya gaya SFA license hai. Iss license ka maqsad ye hai ke koi investment company aam insaan ka faida na utha paye, aur in rules ke mutaabiq humari puri app banayi gayi hai.

Hamari team puri dunya mein pheli hai aur hamara ‘work culture’ kaafi flexible hai, leikin hum London mein registered hain aur hamare offices wahan bhi hain aur Karachi mein bhi.

Aik lafz mein: jee.

Jab aap apni information hamare saath share karte hain, hum samajh paate hain ke aap ke liye kaunsi investments sahi rahein gi. Uss ke ilawa, Pingversity ki learning modules mein bohat se tips aur tricks hain jahan aap saving aur investment ke baare mein seekh payein.

Pot ko gullak ki tarhan samajh lein; har pot ke andar kisi aik goal ke liye savings hon gi. Shayad aap ka pot Master’s degree ke liye ho, shayad Skardu jaane ke liye save kar rahein ho ya shayad aap kisi (khuda na khasta) emergency ke liye bhi aik ‘rainy day fund’ rakh rahe hain. Jo bhi mood ho. Chalein ab ja ke pot bana lein!

Jitne goals hon, utne hi pots banalein. Koi limit nahi hai!

Aap apne pots ko naam bhi de sakhte hain! Simple rakhlein (Aliya’s travel pot) ya koi mazey ka naam rakh lein (HUNGAAM-E-HUNZA) – aap ka Ping Up, aap ki marzi.

Mutual funds mein kayi investors ke paisey ikhatey hote hain, aur phir fund managers ye paise assets mein invest karte hain.

Mutual funds mein sarmayakari asaan si hai. Agar aap ka experience ya free time kam ho, you khud pareshaan honey ke bajaye invest kar ke you can relax, aur fund managers sab samhaal lein ge.

App ke homepage pe jayein, naya pot banayein, aur baqi hum samjha dein ge.

Aap khud pooch lein. Humein hey@letspingup.com pe aik email bhej dijiye.

Pingup- investment platform in Pakistan

Sign up to be the first to hear when our app is ready to use.

Pingup- investment platform in Pakistan
Can't find what you're looking for? No worries!
Share your message with us along with your email, and our team will be in touch within 5 working days.